Is
silsilay main China nay isay America ki saazish qarar day kar USA aur is ki
army par ilzaam aed kia hai kuch log isay Multi-National companies ki saazish
qarar day rahay hain kuch log isay Chineese logon ki khoraak ko is virus ki
takhleeq ki wajah qarar day rahay hain jb k mere khayaal kay mutabiq is jaraseeme
waardaat main nah America mulawis hai aur nah Multi-National companies kyun k
agar is marz kay nuqsanaat ka bagor jaiza liya jaye to hamary samnay yeh baat
aati hai k is mozi marz nay to America ko bhi apni girift main le liya hai aur
is waqt is ki paanch riyasatain lockdown hain.
Har
roz amwaat main izafah ho raha hai. New York main har ghanta kay baad aik mout
report ho rahi hai USA ka nizaam zindagi maflooj ho kar reh gaya hai aanay
walay dinon main isay China aur italy jaisi buri sorat e haal ka saamna ho
sakta hai.
Yaad
rahay k insaan woh aag kabhi nahi lagta hai jo kal ko mur kar is kay ghar ki
taraf aye is liye yeh raye qaim karna sara sar ghalat hai k is saazish main
America mulawis hai dosra is marz k wajah se saari duniya ki maeeshat ka bhata
baith chuka hai srmaya daaron kay arbon kharbon dollar doob chukay hain
aeroplanes se lekar sanatton (factories) taq har cheez khasaray main chali gai
hai sayahat se lekar samaji tarz-e-zindagi bekar ho kar reh gai hai jis ki
wajah se Multi-National companies ko billions kay hisaab se nuqsaan rozana ki
bunyaad par ho raha hai is liye yeh kehna bhi ghalat hai k is aafat ki zimmay
dar Multi-National companian hain kuch logon ka khayaal hai k yeh khatarnaak
virus mukhtalif janwaron kay gosht khanay ki wajah se bhi ho sakta hai to yahan
sawal peda hota hai k cheeni log to yeh sab kuch kayi so saal se kha rahay hain
is se pehlay yeh virus kyun peda nahi hua tha ab kyun peda hua hai.
Mere khayaal kay mutabiq is jaraseemi
hamlay kay peechay Illuminati hai jo log Illuminati tanzeem ko nahi jantay in
kay liye is is tanzeem ka mukhtasir taaruf yeh hai k yeh log kisi kkhuda aur
kisi mazhab ko nahi mantay hain yeh log shetan kay pairo kaar hain aur isi ki
ibadat kartay hain is tanzeem main mukhtalif shoba zindagi ki bari bari Nami
graami shakseyat shaamil hotein hain jaisay baray baray actors, film saaz,
siyasatdaan, media house aur writers hazraat waghera Illuminati kay liye kaam
kar rahay hotay hain agar is Corona marz kay nuqsanaat ka bagor jaiza liya jaye
to mere khayaal kay mutabiq is mozi marz nay sab se ziyada nuqsaan mazahab ka
kia hai is marz se ab taq sirf chand hazaar afraad he mukhtalif mulkon main
maray hain jabkay sirf flow ki wajah se har saal Bartania main 60 hazaar kay
lag bhag log mar jatay hain accident aur doosri choti mouti moti bimarion se to
har saal duniya main lakhoon mar jatay hain magar woh khauf nahi phela jo is waba-e-marz
ko lekar aik saazish kay tehet Media kay zariye phela rakha hai.
Aaj sorat e haal yeh hai k esaion
ki sab se muqaddas jagah vatican city band hai poop video link kay zariye
khitaab karta hai yahudion ki sab se muqaddas ibadat gaah veraan pari hai
Heckle-e-Sulemani ko taaley par chukay hain Mecca madinah aur poooray Saudi
arab ki Masjiden sunsaan ho gai hain ahl-e-tashiyo kay Imam Moosa Qazim kay
mazaar main bhi ho ka aalam hai Pakistani zaireen is wabai marz ko Iran sy he lekar aye hain hinduo kay gaao mata
kay moot aur gobar bhi is virus kay samnay be bas nazar aa rahay hain.
Pakistan aur hindostan ki
bari bari zeyaraton aur dargahon par sawalia
nishaan uth rahay hain tamam mazahab ki muqaddas jaghon aur muqamat ki veerani nay logon ko apnay apnay aqeedon se badzan kar
diya hai aur woh ab apnay apnay khuda ki taraf dekhnay ki bajaye science ki
taraf dekh rahay hain ulmaa peeron fakiron k bajaye science danon ki taraf dekh
rahay hain Mecca Madinah, vatican city Deewar-e-Geriya aur Heckle-e-Sulemani k bajaye liboratories ki taraf be basi se dekh rahay hain, is liye is baat main koi do
raye nahi hai k Illuminati apni saazish aur waardaat main 100% kamiyaab
rahi hai aur is nay logon kay samnay in kay mazahab aur aqeedon ko mashkook bana
kar apna maqsad poora kar liya hai.
Khudaara hamain sochnay ki zarurat hai k kia hum itna bhi ALLAH per emaan nhe rakhtay, aakhir virus ko takhleek karny wala kon hai, yaqeenan ALLAH, virus aik jandaar shey hai aur har jandaar ko sirf ALLAH takhleeq kar sakta hai, lehaaza wohi marz dene wala hai aur wohi shifa bhi, itna na daren ALLAH per bharosa rakhen. Aakhir jis mout se aap dar rahy hain wo kesi virus ne nhe dena balky ALLAH k ikhtiyaar me hai. Ye baat hamary emaan me shami hoti hai jb hum Emaan-e-Mufassal me shamil hai k kar achi aur buri taqdeer ka khaliq sirf ALLAH hai, koi aur shey nhe.
ALLAH hamain hidayat dy Aameen.
Khudaara hamain sochnay ki zarurat hai k kia hum itna bhi ALLAH per emaan nhe rakhtay, aakhir virus ko takhleek karny wala kon hai, yaqeenan ALLAH, virus aik jandaar shey hai aur har jandaar ko sirf ALLAH takhleeq kar sakta hai, lehaaza wohi marz dene wala hai aur wohi shifa bhi, itna na daren ALLAH per bharosa rakhen. Aakhir jis mout se aap dar rahy hain wo kesi virus ne nhe dena balky ALLAH k ikhtiyaar me hai. Ye baat hamary emaan me shami hoti hai jb hum Emaan-e-Mufassal me shamil hai k kar achi aur buri taqdeer ka khaliq sirf ALLAH hai, koi aur shey nhe.
ALLAH hamain hidayat dy Aameen.
No comments:
Post a Comment