Islam aik mazhab ya Deen?
Badqismati say hum wo Musalman han jinhonay Islam ko
batoor-e-Mazhab qabool keya hai. Halan'kay Islam aik mukammal Deen hai jis mai zindagi
guzarnay kay liye tamam rehnuma usool mojood hain. Mazhab to Islam ka aik hissa hai. ALLAH ne bhi Musalmanon ko
Islam may pura pura dakhil honay ka hukum deya hai. Aur hamaray NABI Alay Salam
ne bhi to apni zindagi ko Islam kay tariqay kay mutabiq guzara. Aik mukammal
Islami nizaam deya gaya hai. HAr shaks ki inferaadi zindagi say ly kar ijtamaai
mamlaat tak rehnumai Islam may mojood hai.
Phir kyun hum kharafaat may doobay huay hain.
Islam aik complete system hai magar yahan in baton per koi
tawajja nhe deta. Aik aam insaan bhi apni zindagi may Islam ko sirf Namaz Rozay
tak ahymeyat deta hai baqi mamlaat may usay koi dilchspi nhe hai.
Jis Musalman ki zindagi ka uthna bethna bhi Islam kay
mutabiq hona chahye tha aaj wo khud Islam per chalnay walon ko bura bhala kehta
hai. Koi daarhi wala shaks bura kam karta nazar aaye to sab molviyon ki shamat
aajati hai sb ko gali de jaati hai, aakhir kyun? Aik begair daari wala bhi to
chori karta hua pakra jaata hai phir do apnay aap ko bhi gali kaho khud ko bhi
chor, kyun yahan farq hogaya?