Sunday, 29 November 2020
SUICIDE VS DEATH PENALTY
Saturday, 28 November 2020
INSAAN VS ROBOT
Monday, 2 November 2020
AAJ KAY MARD YA PHIR NAMARD
Thursday, 28 May 2020
METOO PAKISTAN ME
APNI SOUCH KO POSITIVE RAKHO
Aik mard ki souch ko badalnay ki kosheh kahan tk kamiyab hai ye to aap mashray ka haal dekh kar he andaza laga sakty hain, khas tor per Europe aur America ki taraf nazar doraai jaaye to andaza hojaye ga.
Sara zoor is bat per lagaya jaraha hai k jb aik mard apni behen ko achi nigah se dekhta hai to phir wo kesi dusri aurat ko kyun nhe dekhta, sawal ye paida hota hai kya koi normal mard apni behen se shadi kar sakta hai ya taluq qaim kar sakta hai, agar usay kaha bhi jaaye, aik normal insaan kabhi bhi apni behen ki taraf rukh nhe karay ga, aur naa wo is me khushi mehsoos kar saky ga. Aik mard ki fitrat me behen aur ger aurat ka farq qudrati tor per hota hai.
Jo aurtain behnon wali misaalen deti hain k dusron ko bhi apni behen samjho un se pucha jaaye k wo dost kyun ger larkon ko banati hain aur un se kyun hr waqt batain karti rehti hain, dost bhi apny bhai ko he banayen kesi aur ko nhe, apny bhaiyon se he hr waqt batain karen aur un k sat he hoteling karen, magar nhe, khushi to sirf ger mard k sat phirnay me hai, phir aik mard se shikwa kyun? Phir nuqsaan uthanay per khali mard kyun qasoorwar?
Aap ne apni limitations ko cross keya to aik mard ne apni limitations ko cross keya. Ye limitations kon define kary ga. Mazhab ki baat ko to aap ne manna nhe na follow karna hai, phir aurat ka rape hojaye to sirf aik mard he kyun qasoorwar, is liye k nuqsaan sirf aurat ka horaha hai? Jab aik aurat ne apni limitation ko cross keya tha to kya aik mard ka us waqt nuqsaan nhe horaha tha? wo behek raha tha, usay behkaya kis ne, pehli dafa me to usne rape nhe keya hoga na pehli mulaqat me, wo padaishi tor per to rapest nhe tha, usay rapest banaya kis ne? Us ki fitrat ko is satah tk laya kon, usay uksaya kis ne?
Koi mard apni fitrat ko control karne me kamiyab hojata hai koi nhe. Aur wo bhi hain jo chahtay he nhe apni fitrat ko qabu karna, un se kesay bachen gi?
Mera sb logon se sirf yehi sawal hai k koi mard bhi padaishi tor per rapest nhe hota phir agar koi mard rape karne ka irada karle to us ko is haal tk pouchnay walon ki kya saza hona chahye? Jinhone aik normal insaan ko rapest bana deya un ki kya saza hona chahye?
Aik aurat ko mard ki jo batain aadatain mutassir karti hain, aik mard ko us se zada aik aurat ki wo batain mutassir karti hain.
Kyun talaqen tezi se horahi hain, kyun aaj kal k shohar
talaq deny me asraa nhe kar rahy? Zahri se baat hai aik bivi k jis wajood ne
usay mutassir karna tha aur jis se mutassir ho kar aik shohar ne talaq deny se
pehly 100 dafa sochna tha wo to usay aam dekhnay ko mil raha hai, aur wo bezaar
bhi hochuka hai us se, to phir usay bivi me kya kasheh mehsoos hogi?
Aik asaan Misaal: Jb aap shuru se Land Cruiser dekh rahy hon, aur aap k walid aap ko Cultus dila den, Land Cruiser aap k bas me naa bhi ho to kya aap ko apne Cultus gari se pyar hojaye ga? Yehi farq hai bepardagi aur khubsoorat larkiyon se dosti k bad larkay kesi km shakal-o-soorat wali larki ko dil se nhe apnatay aur zada arsa khush bhi nhe reh paatay, ise liye Pardah Islam me zaruri hai, aur na mehramon se dosti wagera, aur un k samne saj dhaj kar jana mana hai, taakay shadi k bad jb wo apni bivi ki asli shakal dekhay to us se bezaar na ho, kyun k asal shakal to dekhna he shadi k bad naseeb hoti hai.
Larkay sb se zada shakal per martay hain aur sb se zada unhe ko shakal ka dhoka deya jaata hai, phir wo kesay mohabbat karengy, Land Cruiser laya tha, soo kar subha utha to Cultus ban gai.
Note farhayen: Is article me kamzoor aur namardon ki batain nhe ki gai hain. Jin kuwaray mardon ko nangi tangon wali aurton ko dekh kar bhi koi asar nhe hota, wo apni souch ko positive samajhne ki khush fahmi me na rahen, unhain chahye k apni shadi se pehly kesi achy hakeem ka intezam karlen, kyun k shadi k kuch dinon bad unhain shadeed zarurat parny wali hai.
Tuesday, 26 May 2020
RAMZAN JESA MAHOUL AAM DINO ME BHI MUMKIN HAI
Saturday, 23 May 2020
ERTUGRUL GHAZI DRAMAY PER LIBERAL MAFIA KA AYTRAAZ
Agar souch kaha jaaye to Pakistan me mojood liberals darasal liberals nhe balkay wo hindu hain jinhone liberalism ka libada urh rakha hai taakay khul kar apni marzi chala saken. Kyun k ye kabhi bhi Pakistan me hindu culture ko resist nhe kartay, lakin jb bhi Islami nizaam ki bat ki jaaye to un k paiton me marour uthna shuru hojati hai aur phir hawa kharij hone lagti hai jaga jaga se. Marvi Sarmad ko he dekh lo, us k libaas aur bindiya se saaf pata chalta hai k wo hindu hai.
PTV per urdu zuban me Ertugrul Ghazi nashar hotay he is mafia ko takleef uthna shuru hogai, yahan tk molviyon k pas fatwy lenay pohunch gaye, is k sat sat ye kehna shuru kardeya k ye hamaray culture ka hissa nhe.
In se pucha jaaye k hamaray culture ka hissa kya hai? munh bnd hojaye ga usi waqt, kyun k ye yahan hindu culture ko promote kar rahy hain.
In k apnay dramon ka hashar dekha jaaye to aurat ko nafsiyati mareezz bana kar rakh deya hai, sewaye badgumani k kuch nhe sikhaya, aik aurat ko hr roop me mazloom tabqa jb k aik mard ko hr roop me zalim dekhaya jaata hai.
Buniyadi sawal ye hai k akhir is dramay se itne takleef kyun hai?
Kyun k ye Musalman nojawanon k ander jasba-e-jehaad ko bedaar karne ka sabab bn raha hai. Liberal mafia ki kai saalon ki mehnat zaya hoti nazar aarahi hai, guzishta kaai saalon se ye hamari nojawan nasal ko aashiqi maashoki k chakaro me uljhaa kar un k zehnon ko tabah karne me lagay huay hain, khas tor per mardon ki zehni salahiyaton ko to in logon ne tabah kar k rakh deya hai.
Kashmir ki in ko koi fikar nhe kyun k Kashmir ka masla hal karne ka matlab hinduon ko naraz karna, aur ye wo kesi soorat nhe chahtay kyun k ye khud hindu hain. Dialogue dialogue ki rat laga rakhi hai aur hamari fouj ko jehaad-e-hindh (jesay Ghazwa-e-hindh be kehay hain) se rok rakha hai. Musalmanon k khoon ki inhain koi parwah nhe.
Pakistan me jitnay bhi masali hain un ki jarh inhi liberal mafia tk jaati hai, ye kabhi nhe chahtay k mulk k masail hal hon, phir jb duniya jahan se Musalman hamain madad k liye pukartay hain to ye shor machatay hain k hm apne mulk k masail hal karen ya dusron ki madad karen, jb k ye khud masail me uljhaye huay hain taakay hm kabhi bhi ummat-e-Muslima ki madad na kar saken aur apny he jahgron me uljhay rahen, aurat march k nam per khara keya jaanay wala fasaad bhi ise ki aik shakal hai js me aurat k dimagh me bs yehi bhar deya hai k wo mard se muqabla karay hr maidan me aur us se agay nikalnay ki kosheh kary kyun k wo us se zada bethar aur samajhdar hai (is bat ka prove ye hai k ap kesi bhi larki se puch len wo khud ko mardon se zada samajhdar samajhti hogi).
Mukhtasir ye k Ertugrul Ghazi drama Ummat-e-Muslima ki tareekh per banaya gaya hai aur is me Musalmanon ki asal zindagi ki taraf ishara mojood hai, Islami nizaam ki bat ki gaye hai aur us ko practice kar k dekhaya gaya hai, jabhi sirf kafiron ko marour hai, Musalmanon ko nhe. Is dramay ko dekh kar aap ko bhi apne baray me pata chal jaye ga k aap kafiron wali ravish rakhtay hain ya Islami, agar aap ko is dramay se takleef hai to aap ander se kafir hain, aur agar aap ko psand hai to yaqeenan aap k ander abhi Islam zindah hai.
Saturday, 16 May 2020
AURAT KAY LIYE PARDAH KYUN
Sunday, 10 May 2020
ERTUGRUL GHAZI DRAMAY KI HAQEEQAT
Sunday, 12 April 2020
MODERN NAFSIYATI MAREEZON KI BARHTI HUI TADAAD
Hamaray mashray me nojawanon me tezi se phelti hui ye waba ab waba nhe samjhi jaati, jahan jasbatiyat aur nafs parasti ko haq samjha jaane laga hai aur usay "rights" yani haqooq ka nam de deya gaya hai, ab chahay jins parasti (behayai) ho ya nam nehaad azaadi, man chahi zindai ko rights ka nam de deya gaya hai. Jb k hm Islam ko man'nay waly hain hm ne Kalma parha hai, hamain to is qism ki baatain karna zaib he nhe daten, magar afsos k Islam k baray me parha kuch nhe aur chalay behaya logon ki himayat karne, aur aaj kal k ye modern jahil Musalman kafiron ko rights dilwane k chakar me apne qawaneen badalna chahtay hain.
ALLAH ne to aik musalman ki zimadari lagai the k wo logon ko burai se rokay aur achaai ki dawat de magar yahan ulta hisaab chal raha hai, agar koi kesi ko burai se rokay to roknay waly ko bura samjha jata hai k wo kyun kesi ko rok raha hai, us ki marzi kuch bhi karay.
Kis qadar jahalat phel chuki hai nojawanon me. Ab in logon ko modern nafsiyati mareez na kahen to aur kia kahen?
AGAINST ISLAM KOSHEHSHEIN TAIZ
Har Jummay ko aik fitna khara keya jaata hai aur media per pura zour hota hai k virus ko pehlaanay ka zimadar sirf Masjidon ko qarar deya jaaye kesi aik Masjid me bhi Jummay ki namaz hojaye to qayamat aajati hai, pura media sar char kar bolna shuru kar deta hai, inhein us waqt super market ka rash nazar nhe aata jahan har shaks har product ko haat lagata hai aur counter per to lazmi har koi aata hai. Koi safety ka proper intezam nhe ghar se ya market me dakhil hone se pehle khud ko achi terha paak saaf nhe karta. Koi media is issue ko highlight nhe kar raha.
Is k bar ask Masjidon me log apni Namaz parh kar chalay jaatay hain naa kesi chez ko haat lagana parta hai. Masjid me dakhil hone se pehle jis ka wuzu nhe hota wo pehle wuzu karta hai khud ko paak karta hai, phir ye virus kesy phel sakta hai, jb har shaks paak ho kar Namaz parhne jaaraha hai, aur aik shaks k baraber me 2 se zada log nhe hotay, phir ye Masjid me tezi se kesay phel sakta hai?
Dusri taraf social media per post bana bana kar share kary gaa rahy hain, aik doctor sahab PIMS hospital k baray me likhtay hain k 2 corona k shikaar mareez hospital se nikal gaye aur Jumma parh kar wapis aagaya, mera sawal ye hai k yahan kis ki galti hai aap Musalman ya Namaziyon ka mazaq uranay ki kosheh kar rahy hain, aur mai kehta un k yahan hospital intezamiya ki gaflat hai k 2 shaks jo coronavirus ka shikaar bhi hain wo Isolated ward se aram se nikal bhi jaatay hain aur wapis bhi aajaty hain, is qadar la parwahi. Masjid jahan k baray me pata bhi nhe k wahan koi mareez hai ya nhe wahan k liye itne sawalaat aur hospital ka wo ward k jahan mareez mojood hain is qadar ger mehfooz aakhir kyun?
Meri aap se sirf ithe darkhast hai k khud ko aur apni naslon ko Islam mukhalif agendon se door rakhain aur media aur social media k Islam mukhalif jhoot per kaan na dharen, usi waqt channel hata den taakay in ki rating gir sakay aur Islam mukhalif posts ko dislike karen, taakay Islam dushman logon ki hosla shikni hosakay.
Saturday, 11 April 2020
YE QUARANTINE NHE QURAN TIME HAI
Kia ab bhi waqt nhe hai Musalmanon k pas ALLAH ko yad karne ka, ye quarantine nhe Quran time hai, a to waqt bhi hai sb k pas koi bahana nhe hai, ab bhi na samjhay to phir kabhi nhe sudhar saktay aap.
Hm roz taal taal kar sirf apne aap ko dokha de rahy hain badalna hai to abhi kyun nhe, kal kyun?
Kal bhi nhe badlo gy aur ise terha mout aajaye gi, aur mout to zarur aani hai, dil din ba din pathar hota jaye ga, badalna pehle se bhi mushkil hojaye ga, badalna hai to abhi badlo khud ko.
ALLAH hamain aqual de, hidayat de Aameen.
Friday, 27 March 2020
CORONA VIRUS YA ALLAH KI NARAAZGI
Sunday, 8 March 2020
WOMENS DAY IN PAKISTAN
Aaj Waqai Maa Behen Aik Horahi Hai- Aap k khandan k mard aesi galiyan dety hongy, aur aap ne poster per likh kar sabit kar deya k aap ise qabil hain.
Jitnay Tmharay Parks Hain Utnay Hamray Bhi- Kabhi kohthay nikal k jaa kar parks me to dekho har waqt aurtain he bhari hui hoti hain, din ko daten raat ko latain.
Thursday, 5 March 2020
MARD KE FITRAT YA HAWAS
Insaan ko jab bhook lagti hai to wo khana khaata hai, neend aati hai to soota hai ye insaan ke fitrat ka hissa hai aur is kay bina insaan zindah nhe reh sakta. ALLAH ne insaan ke nasal ko agay barhanay kay liye mard kay dil me aurat ke mohabbat aur aurat kay jism ko us kay liye pur kasheh banaya hai taakay wo us me kasheh mehsoos karay, ise bina per nasal-e-insaani aagay barti hai.
Neend aati hai to insaan bister per sonay jaata hai, ise terha jb peshab ki naali bhar jaaye to insaan peshab karnay toilet jaata hai. Aik mard ka nafs jab bhar jaata hai to wo aurat kay paas he jaata hai, werna wo kamzoor hojaata hai, jo aap aye din ishtehaar dekhtay hongay mardana kamzoori k ilaaj kay hawaly se, us ki wajah yehi hai.
Zaheri se baat hai k jb insaan apni fitrat ko rookay ga to nuqsaan he uthaaye ga, neend ko rokay ga to bemaar par jaaye ga, peshab ko rookay ga to gurday kharab hojayen gy.
Aap ye aap ko smajhna hai k ki sahi hai aur kia galat.
Wednesday, 4 March 2020
AURAT KI KM AQUAL SOCH
Sachai to ye hai k shaitan logon ko gumrah karta hai aur ALLAH k bataye huay aehkaamat se door karta hai logon ko fitnon me mubtala karta hai, aap bhi mardon ko fitnon me mubtala kar rahi hain, aap ki wajah se koi mard kesi k saat ziyadti karta hai to kal qayamat waly din jb usay jahannum me dala jaye ga to wo shaks aap ko bhi apny sat jahannum me le kar jaye ga aur ALLAH ki bargah me ye kahy ga k wo aap k nangay-pan aur behooda libaas ki wajah se gunah me mubtala hua hai, lehaza aap ko bhi us gunah me baraber ka shareek tehraaya jaye.
Zara Sochiye....
Saturday, 1 February 2020
AURAT KI IZZAT
Jun jun hamara mashra liberal aur azaad khayal hota jaraha hai aurat azaad hoti jarahai hai aur ghar barbaad, libaas behooda se nanga hota jaaraha hai aur mard aurat k is nangay pan ko dekh kar apni hawas ka nishana kesi bhi kamzoor ko bana deta hai.
Jo mard aurat kay behooda libaas ko support kartay hain darasal wo aurat ki izzat ki parwah nhe kartay aur jb moqa mily jahan moqa mily apna kam kar dekhatay hain.
Ajeeb soch hai aurat ki jo izzat ki baat karay ye usay bura kehti hain aur jo zamanay k samnay behooda libaas pehennay ko kahay usay acha samajhti hai. Jo tmhain hawas bhari nazron se dekh raha hai wo to acha aur jo izzat ki hifazat karnay ka keh raha hai to wo bura?
Agar koi aurat ye samajhti hai k wo Islam k bataye huay usoolon ko tor kar apni izzat ki hifazat karly ge ya dusri aurtain us k nangay pan ki waha se mehfooz rahengi to ye us ki galat fehmi hai.
Sunday, 29 December 2019
QAYAMAT ME AURAT KA HISAAB
Qayamat waly din bhi aap se sirf wohi pucha jaaye ga jis ka hukum ALLAH ne aap ko Quran aur Hadees k zariye se deya hai, ye mardon k shana ba shana chal kar aur un k jesa ban kar aur apni zimadariyon ko chor kar aap sirf apna nuqsaan kar rahi hain. Dajjali fitnon se mutassir naa hon ye TV media k zariye se aap ko jo patti parhai jaati hai ye sb shaatani fitne kaa asar hai jo aap ko smajh nhe aaye ga jb tak aap Quran aur Hadees na parhain ge tb tk fitnon ka shikaar aasani se hoti rahengi.
Qayamat walay din mard ho ya aurat sbse un k faraiz k baaray me pucha jaaye ga, jo zimadariyan mardon ko de gaye hain wo us k jawab da hain aur jo aurton ko de gaye hain wo us ki jawabda hain. Har shaks ka apna alag hisaab hoga, koi kesi dusray ka hisaab nhe dega. Parday ka kaha jaaye to aap ki cheekh nikal jaati hai, darasal ye bhi dajjli fitnay ka aap per asar hai k aap ulta jawab deti hai, kia Qayamat walay din ye ulta jawab aap ALLAH ko de sakti hain jb k us ne Quran me Surah Noor me aap ko pardah ka hukum pehlay se he de deya hai, is k ilawah bhi ahekamat mojood hain jo phir kesi aur mozu me discuss karunga, albata ye zarur batata chalun k kuch log pardah ka hukum nazil honay se pehlay k waqiyaat suna suna kar quam ki aurton ko gumrah karnay ki kosheh kartay hain. Pardah ka hukum jb aya to sb se bina chun cha keye pardah keya hai.
Boss agar aap ko aur aap k saathi colleague ko koi kaam de aur us ki deadline aik month dy, agar aap apna kaam chor kar apnay colleague ka kam kar den aur jb aik month k bad aap ka boss aap se puchay k aap ko jo kaam deya gaya tha wo aap ne keya to kia aap jawab me ye kahengay k maine apnay colleague ka kam kar deya tha, boss ne palat kar aap ko aap ki is harkat per zero marks denay hain (imtehaan me kesi dusray ki copy bharnay se aap ko marks nhe miltay aap ka apna kaam reh jata hai jis ka aehsaas aap ko waqt khatam honay per hota hai).
Aap ki bila waja carrier banany wali soch aur apni zimadariyon se bhagnay wali soch aur mardon se muqabla karnay wali soch aik taraf to mardon ko berozgar kar rahi hai dusri taraf aakhrat me bhi aap k in kaamon ki koi value nhe k jis ki bina per aap khud ko ALLAH k samnay defend kar sakain.
Aakhir me mai ye wazy kardun k mera maqsad is article k zariye se aurton ko nokari karnay se rokna nhe balkay un khawateen ko samjhana maqsad hai k jin ko zarurat nhe bs apnay fazul k faishon k liye wo nokari karti hain ya carrier bananay k liye jis carrier ne duniya me he reh jana hai. Aap k carrier k chakar me zarurat mand log berozgar phir rahay hain. Apni taleem apnay bachon ki tarbiyat k liye bacha kar akhain kyun k aakhrat me un k baray me aap se zarur sawal hoga, ye aap k faraiz me shamil hai, agar aaj aik mard kesi aurat ki izzat nhe karta ya zulum karta hai ya galat nigah se dekha hai to kahin na kahen maa ki tarbiyat ki kami zarur hai ya us mard ki maa bhi apna carrier bananay k chakar me us ki terbiyat karna bhool gaye the.
Wednesday, 4 December 2019
AZAADI YA HAWAS PARASTI
Mai baat kar raha hun QURAN aur NABI Alay Salam k gustakhon ki. Jo toheen kartay hain, aakhir wo aesa kyun kartay hain, yaqeenan jahil hain aur apni jahaalat ka izhaar kartay hain. Aesy jahiloon ko support kaarnay k liye liberal mafia bhari pari hai, yahan in ki insaniyat ghass charnay chali jaati hai.
Asal me ye Islam se bugz rakhtay hain inhain Islam ki har baat se takleef hai, ye din raat sirf Islam k khilaaf he baat karaingay. "Insaniyat mazhab se barh kar" is fiqray kay zariye se sirf Islam k khilaaf he baat kartay huay nazar ayen gy.
Ye Islam ki lagai gaye hudood se khof zada hain, hawas parasti ka shikaar hain ya yun keh lo k hawas ki bemaari ka shikaar hain aur chahtay hain k wo apni marzi se zindagi guzarain unhain koi roknay wala na ho chahay kuch bhi karain, ye ise ko aazadi kehtay hain, jahan limitations ki baat aajaye to inhain bura lagta hai kyun k ye hawas ka shikaar hain insaniyat se in ka koi lena dena nhe.
Ya to Haq hai ya Batil, ab ye hum per depend karta hai k hawas k shikaar ho kar batil per chalain ya Haq ko qabool kar k Islam per chalain aur Islam k har hukum ko dil se maane.
ASAL TERRORIST KON
Asal terrorist to ye log hain jin ko moqa chahye Musalmanon ki dil azaari karnay ka, ye jaan bujh kar aelaan kar k gustakhi kartay hain taakay Musalman planning kar sakain aur inhain roknay k liye inhain nuqsaan pohuncha sakain aur phir ise baat ka faida utha kar ye log Musalmanon ko deshat-gard karaar den.
Aesay logon ko hamain terrorist kehna chahye kyun k yehi asal terrorist hain.